Earphones, earbuds, airpods, airdots ya headphones kay eham features:
ANC ya Active Noise Cancellation: Hamaray kaan main har tarah ki or mukhtalif simton say awazain aa rahi hoti hain. is main kuchh zaroori hoti hain or kuchh ghair zaroori. Us main kisi kay baat karnay ki awaaz kay saath saath ird gird ka shor bhi hota hay. Achhi baat cheet kay liye yeh zaroori hay kay kaan sirf zaroori awaaz par zor dain or baaqi ghair zaroori awaazon ko nazar andaz karain. Yeh kaam ANC ya Active Noise Cancellation karta hay.
Isi tarah aik achhay earphone, earbuds, airpods, airdots ya headphones ki yeh khasiate honi chahiye kay wo sirf zaroori awaaz ko saaf or buland karay or ghair zaroori awazon ko hamaray kaan tak puhanchnay say rok day. ANC walay earbuds, earphones, airpods, airdots ya headphones main awaz ki quality khaasi behtar or saaf hoti hay. Wo achhi quality kay samjhay jaatay hain or aam tor par mehengay bhi hotay hai.